kuchh aagahi ki sabilen hain intishaar mein bhi

kuchh aagahi ki sabilen hain intishaar mein bhi
kabhi kabhi nikal aaya karo ghubar mein bhi

ye baat alag ki nishan apna mausamon ko na den
numu ke silsile hote hain reg-zar mein bhi

main ban ke johd-e-rawan mauj-mauj phaila hun
meri fana nahin dariya ke ikhtiyar mein bhi

musafir aap bana lete hain jagah apni
musafiron ko bitha do kisi dayar mein bhi

kalam karte hain dar bolti hain diwaren
ajib suraten hoti hain intizar mein bhi

barasne wali ghata tut tut kar barsi
sulagne wale sulagte rahe bahaar mein bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close