kuchh aaj ilaj-e-dil-e-bimar to kar len ai jaan-e-jahan aao zara pyar to kar len munh hum ko lagata hi nahin wo but-e-kafir kahta hai ye allah se inkar to kar len samjhe hue hain kaam nikalta hai junun se kuchh tajraba-e-subha-o-zunnar to kar len sau jaan se ho jaunga raazi main saza par pahle wo mujhe apna gunahgar to kar len haj se hamein inkar nahin hazrat-e-waiz tauf-e-haram-e-kucha-e-dildar to kar len manzur wo kyon karne lage dawat-e-'akbar' khair is se hai kya bahas hum israr to kar len