kuchh aarzi ujale bachae hue hain log mutthi mein jugnuon ko chhupae hue hain log us shakhs ko to qatl hue der ho gai ab kis liye ye bhid lagae hue hain log barson purane dard na atkheliyan karen ab to nae ghamon ke satae hue hain log aankhen ujad chuki hain magar rang rang ke khwabon ki ab bhi fasl lagae hue hain log kya rah gaya hai shahr mein khandaraat ke siwa kya dekhne ko ab yahan aae hue hain log kuchh din se be-dimaghi-e-'azhar' hai rang par basti mein us ko 'mir' banae hue hain log