kitaben jab koi padhta nahin tha faza mein shor bhi itna nahin tha ajab sanjidgi thi shahr bhar mein ki pagal bhi koi hansta nahin tha badi masum si apnaiyat thi wo mujh se roz jab milta nahin tha jawanon mein tasadum kaise rukta qabile mein koi budha nahin tha purane ahd mein bhi dushmani thi magar mahaul zahrila nahin tha sabhi kuchh tha ghazal mein us ki 'azhar' bas ek lahja mere jaisa nahin tha