kuchh ab ki bar to aisa biphar gaya pani baha ke le gaya har shai jidhar gaya pani ye alamiya bhi ajab hai ki dasht se dariya palat ke puchh raha hai kidhar gaya pani kisi bhi nal mein nahin koi ek bund magar har ek makan ke kamron mein bhar gaya pani dhanak ke rang ubhar aae qatre qatre mein tumhaare jism ko chhu kar nikhar gaya pani hai aam shahr mein dastur be-hijabi ka har ek shakhs ki aankhon ka mar gaya pani main tishna-bakht use hath bhi laga na saka mere qarib se ho ke guzar gaya pani kisi badan mein hunar zist ka nahin 'asim' hua bhi kya jo saron se utar gaya pani