kitab-e-dil ka teri intisab baqi hai haqiqaton se alag ek khwab baqi hai wo ishq bhul gae jis ko tum usi ke liye hamare dil mein abhi iztirab baqi hai jahan kam tha ki dozakh bhi ek bana dali ilahi kaun sa aisa azab baqi hai agar sunaun hadis-e-junun to chand alfaz likhun agar to ye puri kitab baqi hai hamare sath to chal tasfiya hua tera thahar ki tujh se hamara hisab baqi hai ye bahas chhodiye mujrim hun ya nahin kije jo rah gaya hai sitam jo itab baqi hai hua tamam safar dasht ka magar 'asim' labon pe ret nazar mein sarab baqi hai