kuchh aisa bhi nahin mera akele dil nahin lagta koi jab sath hota hai safar mushkil nahin lagta tumhaare sath hone ka mila ye faeda mujh ko tumhaare sath hota hun to main jahil nahin lagta khuda ki baat karta hai bina zikr-e-mohabbat ke tu waiz ho gaya hai par abhi fazil nahin lagta tumhaari muskurahat ke liye jina zaruri hai wagarna ye jahan to jine ke qabil nahin lagta nadi ke do kinaron ki tarah hum sath to hain par kabhi sahil ke sina se aji sahil nahin lagta