main dushman ko jo izzat de raha hun use dars-e-mohabbat de raha hun wo mujh par yar kah kar war kar de main qatil ko ijazat de raha hun wo gham sare zamane se juda hai jise dil ki hukumat de raha hun gham-e-jaanan sada tu rah salamat dua-e-istaqamat de raha hun ye dil tere sitam par bhi hai khandan use dad-e-shujaat de raha hun mera qissa nihayat mukhtasar hai kahani ko tawalat de raha hun sada-e-kun kahan main ne suni thi magar us ki shahadat de raha hun