kuchh aisa rabt musalsal raha shuur se bhi ki khauf aane laga ishq ke wafur se bhi wo shash-jahat se yaksan dikhai deta hai use qarib se dekha hai aur dur se bhi hamara ishq haqiqat mein ghaar-e-saur-o-hira agarche khas aqidat hamein hai tur se bhi suna hai khas talluq hai kharjiyat ka hamari zat ke kuchh dakhli umur se bhi tabhi to zehn pe hawi hai ishq-e-sahrai azal se dil ke marasim rahe khajur se bhi ye aur baat hai mano ki ikhtilaf karo nishaniyan to hazaron milin zabur se bhi lahu mein raqs-kunan ishq hai mere 'faisal' juda hua hai koi silsila qusur se bhi