kuchh saliqe se agar chaak ghumaya jata ain mumkin hai ki shahkar banaya jata jaane wale ne ghalat fahmi mein laut aana tha be-khayali mein bhi gar hath hilaya jata ishq mansur ko khud dar talak le aaya is se pahle ki koi hashr uthaya jata lautne wala isi soch mein mar jaega kash zanjir ko do bar hilaya jata rang bharne mein musawwir ne riya-kari ki warna taswir ko mandir mein lagaya jata is mein wahshat hai aziyyat hai zabun-haali hai ab ye kirdar nahin mujh se nibhaya jata aap to shakl se lagte hain adakar mujhe aap jaison ko nahin dost banaya jata awwalin khat ko jala kar wo gunahgar hua kash tazim se dariya mein bahaya jata main ne badli hain riwayat purani warna main bhi 'faisal' kisi patri se uthaya jata