kuchh aise aa raha hai husn-e-yar aahista aahista chaman mein jaise aati hai bahaar aahista aahista ye hasrat ye tamanna hai ki ai kash us ke qadmon tak pahunch jae mera musht-e-ghubar aahista aahista mere zakhmon se phatta hai kaleja chaarasazon ka ki jab rota hun main sina-figar aahista aahista manazil ishq ki yun roz-o-shab tai kar raha hun main ki jaise gardish-e-lail-o-nahaar aahista aahista utar jata hai rafta rafta sab nashsha jawani ka chala jata hai khud ranj-e-khumar aahista aahista azal se dosh par umr-e-rawan ke hath hai mera pahunch jaunga main zer-e-mazar aahista aahista nahif-o-zar hun lekin mujhe jaana hai us had tak pahunch jaunga main bhi su-e-dar aahista aahista mohabbat ka maraz bhi kya buri shai hai tabibon ko sunata hun main apna haal-e-zar aahista aahista kisi ki nok-e-mizhgan chubhti hai har-dam rag-e-jaan mein chalata hai koi khanjar ki dhaar aahista aahista main kar deta hun ya-rab sab hawale teri rahmat ke gunah apne jo karta hun shumar aahista aahista unhen kya khauf hai jo hain shanawar bahr-e-ulfat ke wo is dariya se ho jate hain par aahista aahista chale jab girte padte 'sabr' mai-khana se hum pi kar to boli dukhtar-e-raz hoshiyar aahista aahista