mera hai do-jahan mein rahnuma dil

mera hai do-jahan mein rahnuma dil
payambar dil hai kaba dil khuda dil

mila jaisa mujhe ek bewafa dil
kisi ko bhi na de aisa khuda dil

ye aaina kudurat se bari hai
safai mein hai mera haq-numa dil

yahan piri nahin chalti khizar ki
tariq-e-ishq mein hai rahnuma dil

bigadta hai wo zalim mujh se jitna
mera aata hai aur us par siwa dil

jahan mein sahib-e-qismat wahi hai
muqaddar se hua jis ko ata dil

hai har dam muztarib har lahza betab
mujhe bhi kya mila sab se juda dil

jo puchhe dushman-e-jaan hai tera kaun
kahun main saikdon mein barmala dil

nikalne ki kahin jab rah na pai
to khun ho ho ke aankhon se baha dil

bala ke dam mein ja kar phansa hai
na teri zulf se hoga riha dil

mere pahlu mein aakhir kyon hai betab
dikhata phir raha hun ja-ba-ja dil

tamanna dil hai apna dil hai matlab
hamari aarzu dil muddaa dil

tere khanjar ne bakhshi umr-e-jawed
dua-go hun main qatil lab se ta-dil

abhi chhedo na mujh ko ai nakirain
thikane par to aane do zara dil

zamane ki zaban par dil hi dil hai
batae to koi hai chiz kya dil

hamari 'sabr' dil se chal rahi hai
yahi ji mein hai ab to hum hain ya dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close