kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre ki jin ke farsh pe bhi arsh ka guman guzre mere sukut-e-musalsal ko bhi sada dena agar idhar se kabhi sorish-e-zaman guzre tujhe khabar hai teri yaad mein sar-e-mizhgan tamam raat sitaron ke karwan guzre wahi to hain meri barbaad umr ka hasil jo hadsat jawani mein na-gahan guzre tilism-e-husn-o-mohabbat nahin to phir kya hai dilon ki baat nigahon ke darmiyan guzre tumhaare wada-e-farda ki zad mein jo aae phir us ki raat kahan guzre din kahan guzre ab apna haal-e-dil-e-zar kya kahun 'jafar' har ek baat meri un pe jab garan guzre