kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai ye zindagi hai yahan hosh ki zarurat hai sunai degi yaqinan zamir ki aawaz mukhatibin-e-subuk-gosh ki zarurat hai ab ehtiyaj nahin sarw-qamaton ki mujhe mujhe to ab kisi ham-dosh ki zarurat hai kharosh-e-khum ka bharam kholna hai kya mushkil bas ek rind-e-bala-nosh ki zarurat hai nigar-e-subh ke aansu sametne ke liye gulon ko wusat-e-aghosh ki zarurat hai kahin faqat mutakallim sukut ki hajat kahin takallum-e-khamosh ki zarurat hai