kuchh ajab ye bargah-e-ishq ka dastur hai

kuchh ajab ye bargah-e-ishq ka dastur hai
jitna jo mukhtar hai utna hi wo majbur hai

maut par qudrat hai jine ka nahin maqdur hai
tu hi dard-e-dil bata ab kya tujhe manzur hai

ho ke mukhtar ikhtiyar-e-khair-o-shar se dur hai
itni qudrat par bhi insan kis qadar majbur hai

kitna pur-hairat hai manzar aastan-e-yar ka
dur se nazdik-tar nazdik se phir dur hai

lazzat-e-zauq-e-asiri hai asiri ka sabab
warna chahen to qafas se aashiyan kya dur hai

gum hua hun shauq-e-manzil mein kuchh is andaz se
ye nahin malum manzil mujh se kitni dur hai

wo tasawwur se na jaen jaan jae yar hai
mujh ko ye bhi be-khudi-e-ishq mein manzur hai

ek wo hain jin ki tufan mein hai sahil par nazar
dubne wale ko sahil se bhi sahil dur hai

kis se ho 'afqar' umid-e-chaarasazi dahr mein
jo bhi is duniya mein hai majbur hai majbur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close