kuchh apni fikr na apna khayal karta hun to kya ye kam hai teri dekh-bhaal karta hun meri jagah pe koi aur ho to chikh utthe main apne aap se itne sawal karta hun agar malal kisi ko nahin mera na sahi main khud bhi kaun sa apna malal karta hun ye chand aur sitare rafiq hain mere main roz in se bayan apna haal karta hun tumhaari yaad bhi aati hai ab mujhe kam kam tumhaara zikr bhi ab khal-khal karta hun