kuchh aur din abhi is ja qayam karna tha yahan charagh wahan par sitara dharna tha wo raat nind ki dahliz par tamam hui abhi to khwab pe ek aur khwab dharna tha agar rasa mein na tha wo bhara bhara sa badan rang-e-khayal se us ko tulu karna tha nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan tamam hoti hui shab ke nam karna tha gurez hota chala ja raha tha mujh se wo aur ek pal ke sire par mujhe thaharna tha