waqt to waqt hai rukta nahin ek pal ke liye

waqt to waqt hai rukta nahin ek pal ke liye
ho wahi baat jo qaem bhi rahe kal ke liye

munsif-e-waqt haqiqat hai haqiqat hai khuda
khauf lazim hai bahar-taur har ek hal ke liye

ai meri khwahish-e-tahsil sujha de mujh ko
koi rasta dar-e-imkan-e-muqaffal ke liye

main samundar hun khamoshi pe na jaana meri
mujtama karta hun taqat ko badi chhal ke liye

tarbiyat khun mein rach jae to tab hota hai
warna aasan nahin jaana kisi karbal ke liye

'sad' darta hun agar main to bas ek khwahish se
wo jo kar de na barahna tujhe makhmal ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close