kuchh baat nahin jism agar mera jala hai sad-shukr ki us bazm se shoala to utha hai mana ki mere lawn ki phir sabz hui ghas is meinh mein padosi ka makan bhi to gira hai sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati suraj hai ki muddat se mere sar par khada hai har samt khamoshi hai magar kahte hain kuchh log is shahr mein ek shor qayamat ka bapa hai diwar se go int khisak kar padi sar par sad-shukr ki rauzan koi zindan mein khula hai ab dekhiye kis rah mein diwar banega dhalwan pe ek sang-e-giran chal to pada hai is sal mere khet mein ole bhi pade hain is sal meri fasl ko kida bhi laga hai aankhen meri raushan rahen khush-haal rahun main ek andhi bhikaran ki mere haq mein dua hai main bhuk se behaal hun to ser-shikam hai kya mera khuda wo nahin jo tera khuda hai