zinda rahne ka taqaza nahin chhoda jata hum ne tujh ko nahin chhoda nahin chhoda jata ain mumkin hai tere hijr se mil jae najat kya karen yar ye sahra nahin chhoda jata chhod jati hai badan ruh bhi jate jate qaid se koi bhi pura nahin chhoda jata is qadar tut ke milne mein hai nuqsan ki jab khet pyase hon to dariya nahin chhoda jata chhodna tujh ko meri jaan hai bahut baad ki baat hum se to shahr bhi tera nahin chhoda jata raushni khub hai lekin mere hayyun-o-qayyum yar andhere mein akela nahin chhoda jata