kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain muddat se un ki hum par ye mehrbaniyan hain aata hai jab kisi par rukta nahin hai hargiz manind-e-mauj-e-dariya dil ki rawaniyan hain paida kahan hain hote ab 'zauq' aur 'ghaalib' han 'dagh' aur 'haali' un ki nishaniyan hain jo pas tha wo khoya nam-e-salaf duboya kya khak apni ai dil ab zindaganiyan hain ai dil na chhed qissa ho dard jis se paida ye sher-khwaniyan hai ya nauha-khwaniyan hain kya hum ne ye nikali tarz-e-ghazal nirali kuchh guf-fishaniyan hain kuchh khun-fishaniyan hain baad-e-khizan ne gulshan viran kiya hai sara bulbul ki ab kahan wo rangin-bayaniyan hain jaur-o-jafa ke aise hum ho gae hain khugar na-meharbaniyan bhi ab mehrbaniyan hain ai 'mashriqi' jahan mein dekha yahi tamasha kuchh matam-o-alam hai kuchh shadmaniyan hain