kahun kya dil udane ka tera kuchh dhab nirala tha wagarna har tarah se ab talak to main sambhaala tha kahan ab khul ke wo rona kidhar wo ashk ki shorish kabhu kuchh phut bahta hai jigar par wo jo chhaala tha hua aawara-e-dasht-o-bayaban dekhte apne wo tifl-e-ashk jo ulfat se aankhon bich pala tha tera gham kha gaya mera kaleja dil sabhi yak bar hua hoga kahan se ser ye to ek niwala tha abhi to lag na chalna tha 'asar' us gul-badan ke sath koi din dekhna tha zakhm-e-dil be-tarah aala tha