kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main kuchh ba-israr-e-lab-e-madam pi leta hun main kuchh ba-nam-e-'ghaalib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam' kuchh bayaad-e-hafiz-o-khayyam pi leta hun main az-sar-e-nau sar pe baalon ko ugane ke liye hasb-e-nuskha roghan-e-baadam pi leta hun main mai-kade mein jab bhi pita hun kabhi zahid ke sath bil ada karta hai wo be-dam pi leta hun main wadi-e-kashmir ki ranginiyon ki yaad mein chae ke uble gulabi jam pi leta hun main jab kabhi bulbul mujhe hota hai nazla aur zukaam bas zara do ghunt waqt-e-sham pi leta hun main