jo is zulf-e-pechan ko hum dekhte hain dhuan sa ye har pech-o-kham dekhte hain nazar un ki kamzor itni hui hai ki ainak se bhi ab wo kam dekhte hain sanpolon ko rakhte the jin mein chhupa kar ab un aastinon mein bam dekhte hain tere mai-kade ke bala-nosh mai-kash na jin dekhte hain na ram dekhte hain wo guzre hain motor se pakki sadak par abas log naqsh-e-qadam dekhte hain bahut din rahe aap pindi mein 'bulbul' chalo ab chalen torkham dekhte hain