kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete hum tujh se chhupa kar bhi tera nam na lete nazren na bachana thin nazar mujh se mila kar paigham na dena tha to paigham na lete kya umr mein ek aah bhi bakhshi nahin jati ek sans bhi kya aap ke nakaam na lete ab mai mein na wo kaif na ab jam mein wo baat ai kash tere hath se hum jam na lete qabu hi gham-e-ishq pe chalta nahin warna ehsan-e-gham-e-gardish-e-ayyam na lete hum hain wo bala dost ki gulshan ka to kya zikr jannat bhi bajae qafas o dam na lete khamosh bhi rahte to shikayat hi thaharti dil de ke kahan tak koi ilzam na lete allah re mere dil ki nazakat ka taqaza tasir-e-mohabbat se bhi hum kaam na lete teri hi raza aur thi warna tere bismil talwar ke sae mein bhi aaram na lete ek jabr hai ye zindagi ishq ki 'fani' hum muft bhi ye aish-e-gham-anjam na lete