jahan pe teri kami bhi na ho sake mahsus talash hi rahi aankhon ko aise manzar ki hamein to khud nahin malum kya kisi se kahen ki tujh se milne ki koshish na kyun bichhad kar ki magar ye zauq-e-parastish ki ab bhi tishna hai jabin ko chum chuke ek ek patthar ki kahan pe dafn wo parchhaiyan karen yaro jo tab la na sakin raushni ke khanjar ki har ek gul ko hai ishq-e-sumum ka sauda har ek shakh yahan mo'taqid hai sarsar ki jidhar andhera hai tanhai hai udasi hai safar ki hum ne wahi samt kyun muqarrar ki