kuchh batana nahin ki tujh se kahen dil dukhana nahin ki tujh se kahen ye nae zawiye hain zakhmon ke dil lubhana nahin ki tujh se kahen ek zamana ki sab kaha tujh se wo zamana nahin ki tujh se kahen dil bahalta tha aane jaane se aana-jaana nahin ki tujh se kahen kar-e-mushkil hai jodna dil ka aazmana nahin ki tujh se kahen hir-ranjha ki ye kahani nahin ye fasana nahin ki tujh se kahen khwahishon ko sula chuke kab ke ab jagana nahin ki tujh se kahen kashtiyan sari ab jalani hain kuchh bachana nahin ki tujh se kahen ghar hamara ujad chuka hai 'adil' ab basana nahin ki tujh se kahen