dair-o-kaba ko rahguzar samjhe

dair-o-kaba ko rahguzar samjhe
dil ko jo koi tera ghar samjhe

ashk-e-khunin bahe to hum dil ko
hadaf-e-nawak-e-nazar samjhe

nala-e-ghair aatish-afshan hai
shab-e-waslat ki tum sahar samjhe

na utha apne aastan se hamein
hum to baithe hain apna ghar samjhe

nama de kar nazara hai manzur
hum taqaza-e-nama-bar samjhe

ghair se puchhte hain kucha-e-yar
aise rahzan ko rahbar samjhe

wo sitam karne aae hain ijad
aur hum aah ka asar samjhe

sarf karna hai unsur-e-abi
hum tera girya chashm-e-tar samjhe

us se kya muddaa kahun 'salik'
sulh ki baat ko jo shar samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close