kuchh batata nahin kya saneha kar baitha hai dil mera ek zamana hua ghar baitha hai ye zamana mujhe bachcha sa nazar aane laga jis tarah aa ke mere zer-e-nazar baitha hai mujh se dekhi nahin jati koi jati hui chiz tere uthte hi mere dil mein jo dar baitha hai farq mushkil hai bahut dasht ke bashindon mein aadmi baitha hai aisa ki shajar baitha hai pul ki tamir ka saman nahin ishq ke pas ruh baithi hai udhar jism idhar baitha hai raat-bhar us ne hi kohram macha rakkha tha kaisa masum sa ab dida-e-tar baitha hai sare ahbab taraqqi ki taraf jate hue 'farhat-ehsas' sar-e-rahguzar baitha hai