raat ki ninden to pahle hi uda kar le gaya rah gai thi aarzu so wo bhi aa kar le gaya din nikalte hi wo khwabon ke jazire kya hue subh ka suraj meri aankhen chura kar le gaya dur se dekho to ye dariya hai pani ki lakir mauj mein aaya to jangal bhi baha kar le gaya us ne to in motiyon par khak bhi dali nahin aankh ki thaali mein dil aansu saja kar le gaya ghaur se dekha to dil ki khak tak baqi na thi mujh ko dawa tha ki main sab kuchh bacha kar le gaya