kuchh bhi ayan nihan na tha koi zaman makan na tha der thi ek nigah ki phir ye jahan jahan na tha saz wo qatre qatre mein soz wo zarre zarre mein yaad teri kise na thi dard tera kahan na tha ishq ki aazmaishen aur fazaon mein huin panw tale zamin na thi sar pe ye aasman na tha ishq harim-e-husn mein apne sahaare rah gaya sabr ka bhi pata na tha hosh ka bhi nishan na tha ek ko ek ki khabar manzil-e-ishq mein na thi koi bhi ahl-e-karwan shamil-e-karwan na tha ishq ne apni jaan ko rog kai laga liye hijr-o-visal umid-o-bim kaun bala-e-jaan na tha khalwatiyan-e-raaz se haal-e-visal-e-yar puchh husn bhi be-naqab tha ishq bhi darmiyan na tha daur-e-hayat mahz tha is ke harim-e-raaz mein kaif-o-asar ka zikr kya zist ka bhi nishan na tha shikwa-e-dar-guzar kyun hai ki husn ishq se itna to bad-guman na tha itna to sar-garan na tha