shab guzar kar bhi andhera kam nahin us ki zulfen to kahin barham nahin ghair ban kar jab gae is bazm mein hum ne dekha hum se wo barham nahin hain nazar mein uljhanen bhi zist ki warna in zulfon mein itne kham nahin pasban-e-gulistan bante hain aur imtiyaz-e-shoala-o-shabnam nahin aaj bhi pyase rahe to dekhna bazm mein saqi nahin baham nahin hum se 'khawar' lakh wo barham sahi bad-guman hum bhi magar kuchh kam nahin