kuchh bhi kaho sab apni anaon pe ade hain sab log yahan surat-e-asnam khade hain jo par utarta gaya hota gaya kam-tar hum duri-e-manzil ke tufail aaj bade hain hum ko na kaho qane-e-haalat ki hum log zindani-e-dahliz ke mansab pe khade hain ai wasl-nasibo! hamein mud kar bhi na dekha hum qufl ke manind masaib pe pade hain tarikh-e-zamin bakht-kusha hone lagi to khulta gaya hum waqt se be-kar lade hain ujlat ke alaw mein kiye faisle 'abid' ab soch ki barfani khadaun pe khade hain