kuchh bhi kar sakta nahin tadbir se

kuchh bhi kar sakta nahin tadbir se
aadmi majbur hai taqdir se

tukde kyon karte ho dil shamshir se
todo ye shisha nigah ke tir se

jam saki rangat na bazm-e-ghair mein
ukhdi ukhdi aap ki taqrir se

aashiqon par zulm karne ke siwa
aur kya aata hai charkh-e-pir se

kyon murid-e-ishq ai wahshat na hun
silsila milta hai ye zanjir se

lo tawazo ka kamanon se sabaq
rah karna dil mein sikho tir se

qabil-e-tegh-e-ada kya hum nahin
katte ho kyon gala shamshir se

ye tamanna hai ki dekha hi karun
ji bahalta hai teri taswir se

hai ye naqsha chaar din ke hijr mein
shakl ab milti nahin taswir se

le ke dil un ki dileri dekhiye
kaise aa baithe hain be-taqsir se

wasl ki shab mein bhi uljhan hi rahi
aap ki uljhi hui taqdir se

zabt kab tak ek din aakhir tujhe
khinch lenge aah ki tasir se

aaj fikr-e-ghair mein jata tha main
mil gae wo khubi-e-taqdir se

aad mein un ki falak bach bach gaya
warna dabte hain jawan kab pir se

e'tiraazon par tule hain kyon harif
'bazm' kya hasil hai is taqdir se

main to dil-dada fasahat ka hun 'bazm'
kyon na ho ulfat kalam-e-'mir' se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close