mahw aisa hun sar-o-pa ki khabar kuchh bhi nahin tere jalwa ke siwa madd-e-nazar kuchh bhi nahin ab to thame hue phirte ho kaleja apna tum to kahte the ki aahon mein asar kuchh bhi nahin hum bayan karte hain jumla ki adam ke tarkib mubtada us ki to hasti hai khabar kuchh bhi nahin khauf hai un pe na zahir kahin ulfat ho meri dil mein go dard hai kahta hun magar kuchh bhi nahin nikle jannat se jo aadam to jahan mein aae itni dilchasp to basti hai magar kuchh bhi nahin putli walon ki si chadar hai hijab-e-hasti sab udhar hi ke karishme hain idhar kuchh bhi nahin jab se ye jaan liya daman-e-rahmat hai wasia hashr ka un ke gunahgar ko dar kuchh bhi nahin