kuchh bhi miyan-e-dud dikhai nahin diya hakim tujhe jumud dikhai nahin diya aaya khayal 'mir' 'taqi' 'mir' ka mujhe apna kahin wajud dikhai nahin diya tahrik mere jazbon ko is se mile sada kyon jalwa-e-hasud dikhai nahin diya badla sabhi ne rang to ye bhi badal gaya charkh-e-kuhan kabud dikhai nahin diya sab fasle ubur nigahon ne kar liye chaaron taraf umud dikhai nahin diya dushman ki saf mein jis se mache khalbali sada wo manzar-e-sujud dikhai nahin diya har shai guzar rahi hai taghayyur se dosto kuchh bhi to be-numud dikhai nahin diya main jis ke aas-pas raha umr bhar 'wali' us ko mera wajud dikhai nahin diya