kaun hamara dard batae kaun hamara thame hat un ke nagar mein jagmag-jagmag apne des mein raat hi raat nile nile ambar par wo chand wo kirnon ki barsat hum donon khoe khoe se hae wo mast-manohar ghat tu gulshan gulshan ithlae main sahra sahra bhatkun dil ka ye sauda hai warna tera aur mera kya sat sab duniya-dari ki baaten dil mein aur zaban par aur tujh se pyar badha kar aakhir jaan gae teri auqat chahe ab is ko apnao chahe naz se thukrao aaj se apna dakhl nahin hai dil ki dor tumhaare hat duniya ka mansha hai pyare hum ghut ghut kar mar jaen dil ki dhadkan ye kahti hai ek din badlenge haalat ek anokhi lai se main ne sab ke dil pighlae hain duniya ko ye wahm ki mere honton par hai apni baat