kuchh bhi na us ki zinat-o-zebai se hua jitna fasad hai meri yaktai se hua lagta hai itna waqt mere dubne mein kyun andaza mujh ko khwab ki gahrai se hua lazim tha jast bharne ki khatir ye kaam bhi waqif main apne aap ka paspai se hua kafi tha yun to rang-e-tamasha ba-zat-e-khud jo bach raha wo kaam tamashai se hua hun kis qadar kisi ke shumar o qatar mein zahir wahan pe apni pazirai se hua kamzoriyan hamari huin wa-shgaf jab apna bhi hashr puri tawanai se hua jo asl chiz thi wo chhupi rah gai kahin kuchh faeda na hashiya-arai se hua khulna tha apne aib o hunar ka bharam kahan ye bhi hua to qafiya-paimai se hua hangama garm hai jo mere chaar-su 'zafar' so bhi hujum se nahin tanhai se hua