kuchh bhi tha sach ke taraf-dar hua karte the tum kabhi sahab-e-kirdar hua karte the sunte hain aisa zamana bhi yahan guzra hai haq unhen milta jo haqdar hua karte the tujh ko bhi zoam sa rahta tha masihai ka aur hum bhi tere bimar hua karte the ek nazar roz kahin jal bichhae rakhti aur hum roz giraftar hua karte the hum ko malum tha aana to nahin tujh ko magar tere aane ke to aasar hua karte the ishq karte the faqat pas-e-wafa rakhne ko log sach-much ke wafadar hua karte the aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir hum tere waste tayyar hua karte the hum gul-e-khwab sajate the dukan-e-dil mein aur phir khud hi kharidar hua karte the kucha-e-'mir' ki jaanib nikal aate the sabhi wo jo 'ghaalib' ke taraf-dar hua karte the jin se aawargi-e-shab ka bharam tha wo log is bhare shahr mein do-chaar hua karte the ye jo zindan mein tumhein sae nazar aate hain ye kabhi raunaq-e-darbar hua karte the main sar-e-dasht-e-wafa ab hun akela warna mere ham-rah mere yar hua karte the waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rahta hai 'salim' ye kabhi waqt ki raftar hua karte the