tum ho jab mere liye hain do-jahan mere liye ye zamin mere liye ye aasman mere liye is tarah jazbaat-e-azadi bahal jaenge kya ban raha hai kyun qafas mein aashiyan mere liye main chala jaun na gulshan chhod kar qabl-az-bahaar kyun girin sare chaman par bijliyan mere liye ro raha hun aaj main sare jahan ke waste roega kal dekhna sara jahan mere liye iztirab-e-shauq se kya kya hui hain laghzishen iltifat-e-yar ne jab imtihan mere liye hai mohabbat kab rahin-e-rah-o-rasm-e-tahiri bandagi hai be-niyaz-e-astan mere liye be-panahi hai yahi 'bismil' jo husn-o-ishq ki hogi na-kafi hayat-e-jawidan mere liye