kuchh bol guftugu ka saliqa na bhul jae shishe ke ghar mein tujh ko bhi rahna na bhul jae wa rakh sada daricha-e-khud-agahi ki tu achchhe to kya buron ko parakhna na bhul jae zakhm-e-nihan ko shauq-e-talab se juda na kar hota hai roz o shab jo tamasha na bhul jae kar den na be-talab ye musalsal aziyyaten dil bhi kahin wafa ka saliqa na bhul jae manzil ka nashsha qurbat-e-manzil na chhin le apni gali mein aa ke hi rasta na bhul jae mat rakh tazad-e-zahir-o-baatin ki aadmi tujh ko tere amal se parakhna na bhul jae wo bhid hai ki shahr mein chalna muhaal hai ungli pakadna bap ki bachcha na bhul jae 'nahid' rifaten to milengi bahut magar aankhon ko apne shahr ka naqsha na bhul jae