mujhe bhi wahshat-e-sahra pukar main bhi hun tere visal ka ummid-war main bhi hun parind kyun meri shakhon se khauf khate hain ki ek darakht hun aur saya-dar main bhi hun mujhe bhi hukm mile jaan se guzarne ka main intizar mein hun shahsawar main bhi hun bahut se neze yahan khud meri talash mein hain ye dasht jis mein bara-e-shikar main bhi hun hawa chale to larazti hai meri lau kitni main ek charagh hun aur be-qarar main bhi hun