kuchh der sadgi ke tasawwur se haT ke dekh

kuchh der sadgi ke tasawwur se hat ke dekh
likkha hua waraq hun mujhe phir ulat ke dekh

mana ki tujh se koi talluq nahin magar
ek bar dushmanon ki tarah hi palat ke dekh

phir puchhna ki kaise bhatakti hai zindagi
pahle kisi patang ki manind kat ke dekh

ta umr phir na hogi ujalon ki aarzu
tu bhi kisi charagh ki lau se lipat ke dekh

sajde tujhe karegi kisi roz khud hayat
banhon mein hadsat-e-jahan ki simat ke dekh

tanhaiyon mein saikdon sathi bhi hain 'nazir'
hai shart apni zat ke hisson mein bat ke dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close