kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin wo be-wafa jo rah mein takra gaya kahin kah dungi main bhi saf ki pahchanti nahin samjhaya bar-ha ki bacho pyar-wyar se lekin koi saheli kaha manti nahin main ne tujhe muaf kiya ja kahin bhi ja main buz-dilon pe apni kaman tanti nahin 'anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahan main be-waqufiyon ka bura manti nahin