milna tha ittifaq bichhadna nasib tha wo utni dur ho gaya jitna qarib tha main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai jis shakhs ki hatheli pe mera nasib tha basti ke sare log hi aatish-parast the ghar jal raha tha aur samundar qarib tha mariyam kahan talash kare apne khun ko har shakhs ke gale mein nishan-e-salib tha dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein main jis ko chahti thi wo ladka gharib tha