kuchh din to kar taawun ai khush-sifat mujh se tanha na ho sakegi tathir-e-zat mujh se fariyaad ai samaat insaf ai farasat karte hain ahl-e-duniya duniya ki baat mujh se hairan hun ki us tak kis kis jihat se pahunchun aawargi-talab hain sad-ha jihat mujh se kyun ai hayat-e-rafta roke hue hai rasta kya chahti hai aakhir ai be-sabaat mujh se yunan ke sakhi to talkhab nazr kar den pani aziz rakkhen ahl-e-furaat mujh se gardish mein hain sitare hai koi jo pukare aa ai gharib-e-kucha le ja zakat mujh se wa hai daricha-e-dil ek chikh ban ke dar aa sargoshiyan kahan tak ai sard raat mujh se