ek qafila hai bin tere ham-rah safar mein ashk aankh mein hai dil mein hai dagh aah jigar mein aaram mujhe bin tere ek pal nahin ghar mein jun mardumak-e-dida hun din raat safar mein phirta hai wo gul-posh mere dida-e-tar mein hai shoala-e-jawwala ki taswir bhanwar mein surakh yahan surat-e-fawwara hain sar mein dikhlaun tamasha jo mujhe chhod de ghar mein rashk aae na kyun mujh ko ki tu dekh zar-o-sim rakhta hai qadam palla-e-khurshid-o-qamar mein main in dur-e-shahwar ke ashkon se idhar aa taulunga bitha kar tujhe hairan nazar mein aa dekh na hans hans ke rula mujh ko sitamgar ek nuh ka tufan hai mere dida-e-tar mein aks-e-lab-e-pan-khurda se dandan hain tere surkh ya aatish-e-yaqut hai ye aab-e-guhar mein baz aao shikar-afgani se hath uthao bhaale ko miyan kis liye rakhte ho kamar mein rahti hai baham zulf bana gosh se tere kuchh farq nahin hai sar-e-mu sham-o-sahar mein hai is mein raqam haal-e-siyah-bakhti-e-ashiq ye nama koi bandh do ab zagh ke par mein ye bhi koi insaf hai ai khana-kharab aah auron ko to le jae hai tu din diye ghar mein aur hum jo hain so dekhne ko bhi tere tarsen diwar mein rakhna hai na surakh hai dar mein kis wajh 'nasir' us lab-e-shirin pe na ho khal hota watan-e-mor to hai tang shakar mein