kuchh dinon tak hi shanasai rahi phir meri shab meri tanhai rahi raunaq-e-mahfil na aai kaam kuchh zindagi jab khud se uktai rahi waqt-e-rukhsat khub hi barsi magar aankhon mein gham ki ghata chhai rahi dhire dhire zakhm aakhir bhar gae bas zara surat hi kajlai rahi chalte chalte kho gae manzar kahin aankh jin ki bhi tamannai rahi dhal gaya suraj ujale chhin kar raat ke sar bazm-arai rahi yaad aaegi kahan us ko 'suman' ishq mein ab wo na gahrai rahi