nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki hain apni aakhiri sanson pe chahaten dil ki bahae jata hai dariya-e-ishq aakhir tak bhale hi lakh sambhaale hon dhadkanen dil ki zara si der bhi baitha nahin gaya nazdik hawa si ho gain aawara rahaten dil ki jo khud ko qabil-e-kar-e-jahan bhi rakhna tha to hum bhi khak hi kar dalen khwahishen dil ki isi mein chain-o-sukun kyon hai jis ne chhina hai samajh se hi rahen bahar hain sazishen dil ki pakad rahi ho thakan jab wajud ke bazu uthae koi bhala kaise wahshaten dil ki ye kis gali se 'suman' ishq apna guzra hai lipatti hi gain daman se uljhanen dil ki