kuchh dur sath gardish-e-sham-o-sahar gai phir us ke baad zindagi jaane kidhar gai apnon ki bewafai bada kaam kar gai is aag mein hayat tapi aur nikhar gai bedari-e-bahaar-e-nazar hi ki der thi phir jo bhi chiz samne aai sanwar gai ab kosta hun pukhtagi-e-tajrabaat ko jo mujh ko har aziz se begana kar gai allah re junun-e-tajassus ke marhale meri nigah tujh pe bhi ho kar guzar gai us par nazar utha ke main 'nazish' jo ruk gaya mahsus ho raha hai ki duniya thahar gai